Dars e Islam cd 3 Dars # 409



Yüklə 18,71 Kb.
tarix26.10.2017
ölçüsü18,71 Kb.
#6753

Nikah 7


Dars e Islam CD 3 Dars # 409
Nichaawar ka mas’ala: Dulhan ko jab shouhar kay ghar lekar aa rahay hai tab ek masa’la pesh aa sakta hai.Yeh mas’ala baaz muqaamat par nikah kay fouran baad, nikah hi ki taqreer may pesh aa sakta hai aur baaz muqaamaat par yeh riwaaj hai kay baaraat jab ladkay waalo kay ghar aa rahi hai tab pesh aata hai. Jaisay hi nikah ho gaya to kuch muqaamaat par khajur, chuwaaray aur in jaisi cheez nichaawar ki jaati hai aur baaz muqaamaat par dulha aur dulhan rukhsat hokar ghar aa rahay hotay hai to raastay may nichaawar kiya jaata hai. Esp seen in shaahi khaandan say taaluq rakhnay waalay gharaanay and seen esp in Arab and Iraani mahoul.

Jo nichaawar kiya jaa raha ho chaahay woh misri ki daliya, khajur, chuwaaray ya rupeye paisay, in ko lenay ka haq hai ya nahi? Agar andaaza ho jaaye kay jo log yeh nichaawar kar rahay hai un ki taraf say aam ijaazat hai jis kay haath may jo lag jaaye woh le sakta hai to yaqeenan har ek ko ikhtiyaar hai is cheez ko lekar istemaal karnay ka. Aur agar nichaawar kay tareeqay say yeh zaahir ho kay yeh faqt kuch khaas logo kay liye ijaazat di jaa rahi hai to sirf un logo kay liye lena jaaez hai baaqi kisi kay liye lena haraam hai.

Agar nichaawar karnay wala zubaan say kuch nahi keh rahay hai aur nichaawar kar rahay hai. Agar nichaawar kay tareeqay say pataa chal jaaye kay sab kay liye hai to har koyi istemaal kar sakta hai aur agar zaahir ho kay kuch khaas logo kay liye kiya jaa raha ho to sirf un kay liye jaaez hai.

Agar ek aadmi nay kuch nichaawar kiya to jis kay haath par jo cheez lagi woh lekar jaa sakta hai lekin agar baad may nichaawar karnay wala woh waapas lena chaahay to aksar mujhtahedeen {incl Aga Khomeini} kehtay hai kay nahi le sakta hattayeh kay woh cheez abhi tak usi haalat may moujood hai. Aga Khoei says maalik waapas nahi le sakta- ismay ishkaal hai.


Qaraahiyat rakhta hai yeh amal kay agar shouhar kabhi safar ikhtiyaar karay to shouhar jab safar kar kay waapas aaye tab makrooh hai baghair ittilaa kiye, raat kay waqt apnay ghar may daakhil ho.
Do ikhtelaafaat hai aulama aur maraajaye may.
1.}Raat say kya muraad hai. Baaz aulama yeh kehtay hai kay wohi raat hai jo har jagah masalay may aati hai kay suraj guroob raat shuru. Doosra giroh jismay moujuda maraajaye bhi shaamil hai yeh kehta hai kay raat say muraad woh waqt hai jab ek sannata cha jaata hai ek sheher may, gharo kay darwaazay band, aamado rabt khatm {Chotay shehro may band aur baday shehro may kum}
2.} Kya yeh masala sirf biwi kay liye hai ya saaray ghar waalo kay baaray may. Yahaa bhi kuch aulamaa kehtay hai sirf biwi kay baaray may hai baaz kehtay hai nahi yaha lawz e ayaal hai is liye saaray ghar waalo kay baaray may hai.

Amali faayeda yeh hai kay


Safar ki zehmato kay baad agar raat ko loutay to aur kuch ho na ho gharwaalo ki aur uski subh ki namaz qaza ho jaati hai.

Biwi kay liye bahut si galat fehmi janam leti hai khususan chotay shehro aur dehaatai ilaaqo may masaael ziyaada badh jaatay hai.

Kya aisay tareeqay ikhtiyaar karna kay jo hamal kay qaraar paanay may rukaawat banay, Islam may jaaez hai ya nahi.

1.} Koyi aisa tareeqa ikhtiyaar karna kay jis ki wajah say yeh silsila humesha munqata ho jaaye, masalan aisa operation karna kay is kay baad ab aulaad ko paida karnay ka ikhtiyaar zaahiran bhi shouhar aur biwi kay haath say nikal jaaye. A Khomeini sareehan haraam. Aga Khoei haraam hai ehtiyaat e wajib ki bina par.


2.} Aisa koyi tareeqa ikhtiyaar karna kay jis may yeh silsila aarzi tour par band ho jaaye aur jab chaahay yeh silsila shuru ho jaaye is may koyi haraj nahi bashartay kay is say istemaal karnay waalay ko sehat ka koyi nuqsaan na ho chaahay mard kay liye chaahay aurat. Is may aurat ko ijaazat hai kay agar uska shouhar raazi na ho tab bhi woh apni shouhar ki mukhaalifat kartay huay in cheezo ko istemaal kar sakti hai kyu ki biwi ko shouhar ki mukammal itaaat karna wajib nahi. Though ghar ka maahoul khushgawaar rakhnay kay liye in cheezo par dhyaan diya jaaye.
3.} Jab kabhi bachchay ka paida hona/bachchay ka hamal qaraar paana aurat ki sehet kay liye intehaayi nuqsaandeh ho, yaha tak kay us kay mar jaanay ka khatra paida ho jaaye to is surat may woh haraam bhi halaal ho jaata hai kay jo mustaqil tareeqay hai wilaadat roknay may-jo aam haalat may haraam hai to agar aurat ko shadeed takleef hai, bahut zuiyadaa nuqsaan, ya jaan jaanay ka khatra, to in 3 surato may to woh operation aur woh tareeqay jaaez hai jis say yeh silsila mustaqil ruk jaaye aur agar jaan jaanay ka masala hai to abortion ki bhi ijaazat hai. Is kay ilaawa abortion haraam hai.
Islam kay aitbaar say khud aulaad ki tamaanna karnay ka aur Al.. say duaaay karnay ka aur aulaad haasil karnay kay tareeqay ikhtiyaar karnay ka intehaayi sawaab hai. Agar koyi shakhs Parwardigaar ki is azeem nemat ko haasil karta hai jisay aulaad kehtay hai to aulaad paida honay kay fouran baad 9 mustahabaat us kay par is silsilay may aatay hai.
Douraan e hamal duaao aur deen ki jaanib tawajjo dena hai aur apni khoraaq ko behtar karna hai jis may jaaez aur halaal kay pehlu par tawajjo dena hai.

Behi {a fruit like naashpati} aur kundar {a type of gond} kay istemaal ki khaas taaqeed hai jissay aulaad zaheen, khubsoorat aur sharaafat kay saath shareef aulaad is duniya may paida hoti hai. Shehed aur khajur kay istemaal ki bhi taaqeed ki kahi gayi hai but not so saabit acc to riwaayat.


Waqt e delivery kay waqt wajib hai us aurat ki madad karna agar us ko madad ki zarurat mehsoos ho rahi ho - aurato kay liye aur uskay shouhar kay liye. Kisi aur mard kay liye chaahay mehram rishtedaar ya na mehram, delivery kay waqt hissa lena haraam aur gunaah hai.Aurat ka kisi mard doctor say delivery karwaana ya aisay muqaam par delivery kay liye jaana kay jahaa usay yeh pata ho kay mard musalsal hongay aur aakho kay saamnay hongay jaaez nahi siwaaye shadeed majboori kay. Buniyaadi tour par kum say kum itni aurato ka hona aur uskay shouhar us aurat ki madad karay kay jitni us waqt kay aitbaar say zarurat ho.

Kisi bhi mard kay liye apni biwi par ilzaam lagaan kay yeh bachcha mera nahi hai haraam aur gunaah e kabeera hai jab tak shariyat kay aitbaar say yeh saabit na ho jaaye. Shariyat kay aitbaar say shaadi kay 6 maheenay baad bhi bachchay ki paidaash ho sakti hai aur shouhar aur biwi kay taaluqaat khatm honay kay 1 saal tak yeh paidaaish ho sakta hai.


AULAAD KI WILADAT KAY FAURAN BAAD KAY MUSTAHABAT:
[A].Maa kay mustahabat: Bachchay ki maa ko taaza-taaza 9 khajoor khilaaye jaaye.Taaza khajur na milay to Madinay kay khajoor aur agar woh bhi na milay to phir koyi bhi khajoor.
[B].Bachchay kay mustahabat: Yeh 9 hai. Pehlay 4 bachchay ki wiladat kay fauran baad karna hai aur baaqi 5, saat din kay andar. Behtar hai yeh aakhri 5 mustahabaat saatway din karay.
#1.Bachchay ko ghusl dena: Basharatay khauf-e-zarar na ho.

Bahut ziyada motabar nahi kay –Ghusl kay baad bachchay ko safed kapday may laptay-bahut mustahab. Zard kapday may-makrooh. Baaqi kisi rang may mubah.Is masalay par rija ki niyat say amal karay.


#2.Azaan aur Iqaamat kehna: Bachchay kay daaye kaan may Azaan aur baaye kaan may Iqaamat padhay.Taaqeed hai kay yeh amal bachchay ki naaf kaatnay say pehlay karay. Iskay faiday hai-

(a).Junoon say mehfooz, (b).Ummusiffyan say mehfooz, (c).Dar aur khauf, cheekh- pukar say mehfooz, (d).Sharray shaitan say mehfooz rehta hai bachcha.


#3.Tehneeq: Urdu may gala uthana/ taalu uthana kehtay hai-Bachchay kay galay tak yeh 3 cheez pahuchaana mustahab hai-
(a).Turbatay Imam-e-Mazloom(a.s)/Khaak e shifa
(b).Maa-e-Furat: yaha 4 degree aati hai

(1).Nehray Furat ka paani, agar yeh na milay to

(2).Meetha Khushgawaar paani, agar yeh bhi na mil sakay to

(3).Aam paani jisay khajoor ya shehed daalkar meetha banaaya gaya ho. If shehed ya khajur not available phir koyi aur cheez daal kar usay meetha banaaye.

(4).Baarish kay paani say galaa uthaaye. If not this phir koyi bhi paani say gala uthaaye
(c).Mustahab hai kay khaali khajoor say bhi uska galay ko uthaaye. Moula Ali a.s. nay farmaaya “Apnay bachchay ka gala khajur say uthaao kyu kay paigambar nay Hassan aur Hussain ka gala isi khajur say uthaaya tha.” Tareeqa: Thodi si khajur ko lo, apnay daato say chaabaao jab bahut narm ho jaaye to apnay seedhay haath kay angushtay shahaadat ki madad say is ko bachchay kay muh may halaq tak dhakelo aur phir intezaar karo kay bachcha usay hazam karlay.
#4.Tasmia: Bachchay ka naam rakhna. Bachcha maa kay pet may ho to usi waqt uska naam Mohammed rakh diya jaaye aur wilaadat kay baad 7th day tak wahi rakhay chaahay ladka ho ya ladki, aur baad may chaahay to koyi doosra naam rakh saktay hai.

Behtareen naam woh hai jissay Allah ki bandagi ya ubudiyat ka pehlu chalkay, ya ambiya, ya aimma may say kisi ek ka naam rakhay.


Do cheezay makrooh hai –

(a).Kisi kay 4 betay ho aur unmay kisi ek ka bhi naam Mohammed na rakhay.

(b).In 5 naamo may say ek naam rakha jaaye. Hakam, Hakeem, Maalik, Khaalid ya Haaris yeh naam na rakhay. Baaz riwayato may Parvez bhi
#5.Waleema-e-wilaadat: Yeh fouran mustahab nahi hai. Saat din kay andar karay. Aur agar insaan chaahay to wilaadat kay waleema aur khatnay kay waleema ko milaakar karay.

Ab yeh chaar mustahaabat ko saatway din par karna ziyada mustahab hai.


#6.Sar mundwana: Agar sar par choti chodi hai to yeh makrooh hai. Pooray baalo ko mundwaaye aur in baalo kay wazan kay baraabar sona-chandi rakhay aur raahay khuda may sadqa karay. Ya paisay bhi day saktay hai, iskay ewaz. Ziyada sawaab sona sur chaandi khud sadqa karay. Baal mundwaanay kay baad sar par zaafraan mal diya jaaye.
#7.Kaan may suraakh karna: Seedhay kaan may mustahab aur dono kaano may suraakh karay to aur ziyaada sawaab.
#8.Khatna: Yeh aisa mustahab jo agay chal kar wajib honay wala hai. Baalig honay say pehlay khatna karwana mustahab, 7th din bahut mustahab aur baalig honay kay baad fouran wajib {wajib e fouri hi} hai. Bachchay kay liye bhi zakham jaldi theek ho jaata hai.

Kya bachchay kay sarparast par wajib hai kay bachchay kay naa baaligiyat kay zamaanay may khatna karwaaye? Aulama may ikhtelaaf. Some yes some no.

Tareeqa: Khaal ko poora kaat diya jaaye taaki nokh ya sira zahir ho jaaye-Khatna urfi mas’ala nahi yeh sharayi mas’ala hai kay poori khaal ko is tarah katna chaahiye kay sira ya nok zaahir ho jaaye warna woh khatna nahi kehlaayega.

Khatna karnay waalay ka Islam zaruri nahi. Woh kaafir say, kaafir e zimmi say ya aurat say bhi bhi karwaya jaayaa sakta hai. Lekin mumayaaz bachchay kay liye aurat ka karna haraam ho jaayega.

Baaz maraajay kehtay hai kay khatna wajib bhi hai aur doosri ibaadat ki sehat ki shart bhi hai. Agar khatna na ho to namaz, roza, ziyarat etc baatil. Lekin moujuda maraajay kehtay hai kay khatna wajib to hai lekin iska deegar ibaadato say koyi taaluk nahi yaha tak kay namaz kay sahi honay kay liye bhi khatna shart nahi. Sirf ek ibaadat kay liye khatna shart hai aur agar yeh na ho to khatna na honay ka gunaah aur woh ibaadat bhi baatil ho jaayeygi, i.e Tawaaf- Jab Hajj ya Umra ka tawaf kiya jaaye to uski shart hai kay khatna shuda ho. Agar khatna shuda nahi to us aadmi ka tawaaf baatil hai jaisay kay namaz without wudhu.

Khatna, jis din ho, mustahab hai us din waleema karay.







Yüklə 18,71 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©genderi.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

    Ana səhifə