Ref Darse Islam cd 3 Dars 416,417



Yüklə 29,63 Kb.
tarix26.10.2017
ölçüsü29,63 Kb.
#6752

Nikah 9


Ref Darse Islam CD 3 Dars 416,417
Biwi kay liye apnay shouhar kay silsilay may sirf 3 cheezay wajib hai

1.} Izalatul Munafiraat: Woh apnay jism aur libaas say har woh cheez hataaye jo shouhar kay dil may us say tanaffur paida karey. E.g. khana pakaatay waqt , safaayi kartay huay aurat maili kuchaili ho jaati hai. Shouhar kay dil may agar raghbat paida ho rahi ho to in cheezo ki wajah say qaraahiyat na paida honay paaye. Agar haakim e shara ko pata chal gaya kay koyi biwi itni maili kuchaili rehti hai kay shgouhar kay dil may us kay baaray may raghbat nahi paida hoti, uski jaanib woh maael nahi hota, to is aurat ko islami adaalat may saza mil sakti hai. Yeh mas’ala urfi hai lekin aurat ko itna saaf suthra rehna wajib hai kay shouhar usay dekhay to uskay dil may qaraahiyat paida na honay paye.

2.} Jab shouhar mutaalebaa karay maqsad e nikah ka, to aurat zara baraabar usmay rukaawat ya muzaahemat paida na karay illa koyi sharayi ya aqli majboori ho.

3.} Shouhar ki ijaazat kay baghair ghar say baahar nahi nikal sakti. Aga Khoei ki Ehtiyaat e wajib hai. Baaki marajay ka fatwa hai. Lekin agar koyi sharayi ya aqli majboori aa jaaye e.g. ghar may aag lag jaaye to phir niklay ya bachcha beemaar hai doctor kay paas fouran jaana hai ya phir wajib hajj.

Agar shouhar aur biwi aapas may musaalehat say in may say kisi cheez ko khatm kar day to koyi gunaah nahi. Yeh haq waala wajib hai. Jiska haq hai woh chod day to Islam ko koyi eitraaz nahi.

Teen aur zimmedaariya biwi par.

4.} Kabhi bhi shouhar say poochay baghair qasam nahi kha sakti. Agar khaayi to qasam galat, baatil huyi hi nahi.

5.} Nazr ya mannat:

Aga Khomeini: Bagair shouhar ki ijaazat kay mannat nahi maani jaa sakti, yeh galat, batil hai, huyi hi nahi. Agar shouhar baad may ijaazat day day tab bhi mannat dobaara maanna padegi.

Aga Khoei: Aisi mannat nahi maan sakti jo shouhar kay haqq kay khilaaf ho. Agar aisi mannat hai kay shouhar kay haq say koyi taaluq nahi rakhti tab shouhar ki ijaazat ki zarurat nahi aur mannat ho jaayegi.

e.g. mannat maanna kay mai umrah par jaaungi yeh galat hai jab tak kay shouhar say na poochay kyu ki ismay ghar say nikalna padhta hai.

Ek wajib dono shouhar aur biwi par wajib hai.

6.} Agar nikah may koyi shart lagaadi gayi ho to ismay bhi biwi paaband ho gayi e.g. shart lagaayi kay biwi ko naano nafqa nahi milega aur biwi nay isay qubool kar li to naano nafqa uska saakit ho gaya.

Isi tarah biwi koyi shart lagaaye aur nikah kay waqt shouhar usay qubool kar lay to shpouhar ko woh shart maanna padegi.

******************************************************************************************Quran e Kareem ki aayat bayaan kar rahi hai kay“Aay saahibaane eimaan jab koyi agreement karo to us ki pabandi karna tum par wajib hai.”

Rasul e Khuda s.a.w.s. ka hadeeth kay “Har momin ka yeh fareeza hai hai kay jo shart us nay qubool ki hai usay maanay siwaaye us kay jo Al… ki naafarmaani karna chaahay.”


1.} Nikah ek aisa muhaaidaa ya agreement hai kay jis may Islam nay saaray ikhtiyaaraat apnay haath may nahi rakhay balki shouhar aur biwi ko bhi yeh haq diya hai kay agar woh in sharaait may jo Islam un par aaid kar raha hai kisi cheez ka raddo-badal karna chaahay baahimi razamandi say, to is ki ijaazat hai. Lekin yeh raza-mandi nikah kay seegah padhay jaanay kay waqt ho jaana chaahiye. Agar ek martaba nikah ho gaya aur us kay baad shouhar ya biwi aapas may kisi cheez ko aapasi razamandi say tay kar letay hai to us ka maanna un dono par wajib nahi hai.eg after 5 years naano nafqa maaf kartay hai and then no

6 Aisay huqooq/fareezay hai jo biwi par wajib hai ada karna-(a).Izalatul Munnaffiraat, (b).Tamkeen, (c).Ijazatay shauhar kay ghar say bahar kadam na nikalna, (d).Ijazatay shauhar kay bagair qasam na khayay, (e).Shauhar ki ijazat kay bagair koyi mannat na maanay ya mannat na karay,(A.Khoei ki choti si ikhtelaafat hai) (f).Jo sharayet waqtay nikah taye paaye unki paabandi karay.


NIKAH KAY WAQT KAY SHARAIT KI KUCH TAFSEELAT: Islam ijazat deta hai kay nikah kay waqt shauhar/biwi kuch shart rakh saktay hai, lekin kuch sharaayet kay saath

1.} Shart Islam may halaal ho aur woh dono har halaal aur jaayez sahrt ko aapas may tay kar saktay hai. Agar kisi nay bhi haraam shart rakhi aur fareekh nay man bhi li to Islma ki nogaah may yeh baatil hai aur uski paabandi nahi ki jaa sakti.

Saari halaal shartay lagaayi jaa sakti hai lekin ek baar shart lagaa di gayi aur fareekh nay usay qubool kar liya ab yeh halaal sahrt khud ba khud wajib shart ban gayi.

Shart ab wajib ho gayi aur agar fareekh baad may uski mukhaalefat par utar aaye jab kay pehlay maan li thi to ab aulama kay do nazariyaat hai.

a.} Shart ki mukhaalefat say nikah taat gaya. Dobaara nikah padhwana padega.

b.} Moujooda maraajaye: Shart na maannay say nikah baatil nahi huwa, lekin mazloom party{fareekh} ko haqq hai kay us maamlay ko A… kay hawaalay kar day aur nikah jaari rakhay, aur chaahay to nikaah ko fasq kar day.i.e. nikaah ko cancel kar sakta hai khud ba khud nikah nahi toot ta.

Talaaq: Humesha shouhar ki taraf say hoti hai

Fasq: Shouhar ya biwi jis par zulm huwa hai uski taraf say ho sakta hai.

Talaaq ki bahut saari shartay hai.

Fasq may koyi shart nahi hoti. Fasq kay maanay hai maamlay ko cancel karna, khatm karna.


Sharaayet buniyaadi tour par ladkay aur ladki kay beech tay hona chahiye. Aur kisi shakhs ko beech may dakhal denay ka haq nahi hai.

Sahuliyat: Ladka chaaahay to khud sharaayet rakhay aur chaahay to kisi ko numaaindagi dekar bhejay uski taraf say sharayet rakhnay kay liye. Ladki chaahay to khud sharayet rakhay ya chaahay to kisi ko apni taraf say numaaindagi dekar bhejay. Lekin numaainda usi daaeray may rehkar baat kar sakta hai jitna us ko ikhteyaar ladki nay diya hai. Numaainda khud apnay aap ko mukhtaar na samjhay unless ladki nay yeh haq numaaindayt ko diya hai. Numaainday ko ladki ya ladkay ko ittelaah dekar unsay ijaazat lena padegi.

e.g. Shouhar jab safar karay mujhay saath le jaaye ya shouhar mujhay alaahidaa muqaam lekar day ya shouhar mujhay meray sheher ya maaikay say juda nahi karega.

e.g. Tumhay ghar may isi tarha kaam karna padega jis tarha doosri bahuye/ghar ki betiya/behnay

kaam karti hai ya mai tumhay itna naano nafqa nahi de sakta jitna shariyat nay muqarrar kiya hai meri haisiyat kay mutaabiq lena padega.

Kya aurat yeh shart rakh sakti hai kay meri moujoodgi may mera shouhar doosri shaadi nahi kar sakta?

Aga Khomeini: Aurat ko yeh shart lagwaanay ka koyi haq nahi hai as it goes against the haq given by Al… to the ladka. Yeh baatil shart hai. shauhar ko manna zaroori nahi aur agar who maan bhi lat to yeh shart khud saakit ho jayaygi.

Aga Khoei: Jaaez shart hai. Agar yeh shart lagaaye aurat to jaaez hai aur shouhar kay liye isko maanna wajib ho jaayega. Lekin agar shouhar jo kay Aga Khoei ka muqallid hai is shart ki mukhalifat kartay huay dobaara shaadi kar lay tab bhi na pehla nikah tootega khud ba khud na doosri shaadi galat hogi jab kay haraam hai is liye gunaah hoga. Pehli biwi ko haq hai kay woh apnay shouhar ko chod sakti hai aur shauhar ki doosri shaadi sahi rahegi lekin gunaah kay saath.

Ladki ko yeh ikhtiyaar bhi haasil hai {tamaam aulama kay nazdeeq} kay woh nikah kay waqt apnay shauhar say talaq ka haq lay lay taaki jab chahay woh bhi talaq lay sakay apnay shauhar say jis tarah shauhar ko haq hai Islam may. Ladki ko talaaq ka haq nahi mil sakta lekin yeh shart lagaa sakti hia kay mai jab chaahu aap ki numaaindagi kartay huay apnay liye talaaq haasil kar lu. Humaari fiqah may talaaq sirf shouhar ki taraf say ho sakti hai. Ismay bhi 2 tareeqay hai:

a.} Ladki koi haq de diya kay jab tum chaaho tum meri {husband} taraf say apnay aap kay liye talaaq jaari kar lena {kisi bhi aalim kay paas jaakar}. This is like a blank cheque bahut si kharaabiya paida ho sakti hai.

b.} Ladki ko yeh haq diya jaaye kuch sharaayet kay saath e.g. Khaanay peenay may taqleef di to talaaq lay lu, agar waaledayn kay ghar jaanay may takleef di to mujhay haq do kay mai talaaq lay lu., mujhay chod kar saal do saal chalay gaye naukri kay liye mujhay haq do kay mai talaaq lay lu.

Aisi talaaq ka haq agar aurat ko diya jaaye uskay liye bhi daaeraa e talaaq mehdood ho gaya. Aur woh maamuli baato par talaaq ka mutaalebaa nahi kar paayegi.

-Ek ladki apnay liye nikah kay waqt talaaq ka haq lay sakti hai –talaq ka mutlaqan bhi bagair kisi sharaayet kay ya kuch sharait kay saath kay fula-fula kharaabi huyi to phir mujhay haq do kay mai talaq jaari kar saku.

Agar shaadi kay baad ladka chaahay kay mai yeh haq waapis lay lu jo mainay us waqt diya tha to yeh jaaez nahi woh waapis lay hi nahi sakta.


Nikah kay procedure may mehr ya sidaaq hai aur yeh dono lawz Quran e Majeed may istemaal huay hai. Nikah may aulama hadd say ziyaada ehtiyaat kartay hai kyu ki izzat, aabroo, aulaad, nasl kaay tahffuz ka mas’ala hai. Shariyat kehti hai kay ek jumlay say bhi nikaah ho jaata hai lekin aulamaa 7-8 seeghay padhtay hai using different terminology for the same thing. Maqsad yeh hota hai kay jitnay bhi alfaaz nikah say mutaaliq Quran may aaye hai, baari baari sab lawzo ko istemaal kar lay taake koyi shak na reh jaaye.
MEHER: HADEES-(A):Jo sabsay badaa haqq insaan par hai woh yeh hai kum say kum woh adaayegi to karay jiski wajah say Al.. nay uskay liye ek aurat ko halaal kiya hai.

(B): Agar koyi insaan nikah kay waqt hi uskay zehan may ho kay yeh meher weher kya hai, kaun isko ada karega –Allah kay nazdeek who zaani likha jayayga.


Meher Islam may biwi kay ikhtiyaar may hai.
1.} Meher bhi ladka/ladki kay aapas may tai karnay ka masala hai,kisi aur ko dakhal denay ka haq nahi.Tajweez (suggestion) dayna theek hai lein aakhri faisla ladka/ladki ka hai.

Is liye aulama nikah padhtay huay ladkay ya ladki ki taraf say apna fareeza samajhtay huay mehr ki miqdaar zaroor bataatay hai.

2.} Ladki jo chaahay maehr talab karay qaleel ya kaseer. Meher kuch bhi ho sakta hai jiski maaliyat ek pyaalay doodh par, ek quraani surah ko sikhaanay ki ujrat, ek mutthi khajoor say lekar laakho karodo tak ho sakti hai.

Riwaayat may hai kay behtareen nikah woh hai jiska meher kum rakha gaya ho aur behtareen ladki woh hai jo kam-say-kam meher talab karay.

Meher ka paisa jitna barkat waala hai shaayad hi koyi paisa itna barkat wala ho.

Mustahab yeh hai kay meher ki miqdaar kum ho, mustahab yeh hai kay meher 500 dirham say ziyaada na honay paaye. Paigambar s.a.w.s. nay apni tamaam azwaaj kay liye muqarrar kiya tha.

500Dirham=1250 g silver ki qeemat. Dirham kehtay hai chaandi kay sikkay ko. Us waqt Rs.6500-7000.
MEHER KI ADAA0IGAY KAY TAREEQAY:

#1.Moajjal (ujlat);Jaldi wala. Mehr jaldi chaahiye i.e. fauran Nikah kay saath hi meher chaahiye.

#2.Muwajjal(Ajal):Woh meher jismay ek waqt moayyan kiya jaata hai ek muddat bataana hai e.g.5 years kay baad ya 6 mahino kay baad. Jab muwajjal mehr rakha jaaye to muddat bhi bataana padegi.

#3.Indal talab: {On demand} Bilkul ladki nay apnay ikhtiyaar may rakha hai, jab chahay jis waqt chahay talab kar sakti hai.

#4.Yeh bhi jaaez hai kay in teeno ko mila day e.g. meher rakha jaaye Rs.14,000 aur iskay 3 hissay kar diye jaaye, yeh tai ho jaaye kay Rs.4000 fauran dena, Rs.5000 jab ladki chaahay tab talab karay aur Rs.5000 6 mahinay kay baad .

-Baz ulema kehtay hai aur moujoda marajay kehtay hai kay rijjan iski ijazat hai.

-Har Imam nay apni biwi ko fauran meher diya hai.

-Baaz ulema kehtay hai kay behtar yeh hai kay jab bhi nikah ho meher may Moajjal zaroor rakha jaaye taakay 13 maasumeen ki seerat par aur woh jo sunnat hai us par bhi amal ho.

-Ulema kehtay hai kay 4th type ki meher par amal karay taakay moajjal denay waali sunnat ho aur ziyaada sawab haasil ho.

-1ST AUR 2ND type ki meher may agar ladki nay shadi ki pehli raat par meher maanga aur shauhar nay ada na karay to jab tak meher na milay ladki ko haq hai ki woh shauhar ko apnay qareeb na aanay day. Shauhar ka tamkeen waala haq saakit ho jaayega.

-Ek baar apnay ko supurd karnay kay baad phir meher ki wajah say aainda kabhi ladki apnay shauhar ko qareeb aanay say nahi rok sakti.Pehli baar mana karnay ka haq .Meher baad may talab kar sakti hai.

MASALA:Agar koyi biwi apni marzi aur khushi say mehr maaf kar day tab mehr maaf ho gaya lekin agar biwi mehr maaf na karay ,chaahay saari zindagi is mouzu par koyi baat na ho,mehr apni jagah par barqaraar rahega aur qarzay kay taur par barqaraar rahega shouhar par.

DO MAQAMAAT PAR AURAT PAR WAJIB HAI APNAY SHAUHAR SAY MEHER MAANGNA:

(A).HAJ: Agar hajj ki taareekh aa jaaye aur aurat kay mehr ki raqam is kaabil hai kay uska hajj ho jaayega to uskay liye mehr mangna wajib hai.Ya to meher khud itna ziyaada hai kay hajj ho jaaye ya khud uskay paas savings hai aur meher kay paisay milaanay say hajj ho jaaye to mehr maangna wajib hai.

Is may shouhar ka mas’ala: Agar saaahibe istetaat hai aur mehr qarza hai uspar to jab biwi talab karay hajj kay liye to ada karna hoga. Agar shouhar gareeb hai to qarzay ka jo aam mas’ala hai kay tumhaari haisiyat nahi tumpar dena wajib nahi, yehi mas’ala yahaa shouhar kay liye rahega.

(B).Agar biwi par koyi aisa qarza chad jaaye jo shauhar ada karnay say inkaar kar day aur jiski adayegi kay liye paisay nahi tab meher maangna wajib hai.


Meher par khums maaf hai chahay meher kitnay hi saal rahay .

-Khums nahi honay ki wajah say meher maangna zaroori nahi.

-Agar aurat ko kabhi is meher ki zaroorat nahi padi, tab saari zindagi yeh masala nahi uthayga, haa tab uthayga jab inmay say ek ka inteqal ho jaaye.

(a).Agar shauhar ka inteqal ho gaya aur saari zindagi shauhar-biwi may meher ki baat nahi hui to pehla hissa /qarza jo shauhar kay maal say nikala jaayega wof mehr hai phir baaqi waariso may taqseem hoga aur jismay say biwi ko phir 1/8th hissa milayga.

MASHWERA: Agar marnay waala gurbat may maray to biwi apna mehr maaf karday ,taakay marnay waalay par kisi qism ka boj na ho.

Agar aur bhi qarza lenay waalay hai aur agar biwi mehr legi to unka qarza ruk jaayega, woh maaf nahi karengay, behtar biwi hi maaf karday. Mustahab hai shouhar kay marnay kay baad mehr maaf kar dena.

(b).Agar biwi ka inteqal ho jaaye pehlay aur meher ki baat na hui ho,tab shauhar par wajib hai fauran mehr biwi kay waariso ko dayday. Har waaris kay hisay may jo aata hai woh un sab tak pahuchaaye aur shouhar khud apna bhi hissa rakhay. Aur yeh tab jab biwi kay sar par koyi khums, hajj ya qaza na ho. Isl liye pehlay mehr ki rakam alag kar di jaaye phir check karay kay kya koyi qarza hai. Qarz adaa karnay kay baad, etc dusri wasiyato may jaayega paisa. Agar kuch bachega phir wursa may batega.

JAHEZ: Yeh sunnat nahi, mubah hai.Ek shaadi kay alawa aur kahi masoomeen ki shaadiyo may jahez ka tazkera nahi hota,sirf Hazrat Ali a.s. aur Bibi Fatema s.a. lekin wahaa bhi jahez ka woh niyam nahi jo humaaray yahaa hai.

(a).Moula Ali a.s. ki shadi may Paigamber hi dono taraf say wali banay thay. Dono taraf say Rasul ko zimmedaariya poori karna tha to kya isay jahez kahay ya yeh kay Ali ki taraf say Paigambar ka intezaam kar rahay thay.

b.} Ziyaada taaqeed is baat ki nazar aati hai kay Meher kay paiso say jahez banaya gaya tha.


DEFINITION: aap apni beti ki shaadi kay moukay par jo ibtadaayi dino may touhfay dayta hai usay jahez kehtay hai.

JAHEZ DAYNAY KAY TARIKAY:

#1.Ya to baap nay jahez day diya beti ko maalik bana kay.(Tamleek).

#2.Ya to maalik nahi banaya beti ko sirf istemal kay liyay diya (Ibaha).Kisi aur ko mubah karna,maalik pehla aadmi hi hai jab chahay waapas lay lay.

Hence jahez kya hai-Aulamaa debate kartay hai kay (1).Tamleek –maalik banaya beti ko ya 2).Ibaha-Jab chahay baap cheez ko waapas maang sakta hai.

Fiqh may maalik bananay kay 2 tarikay-

(a).Paisay lay kay bech day-Yeh humaray yaha kabhi nahi hota kay baap paisay lay beti say aur usay jahez bech day.

(b).Tohfa dayna:Arabi-Hiba karna,Farsi-bakhshish:

Tohfa aap duniya kay kisi bhi aadmi ko day to yeh tohfa aap ki taraf say usko mil to gaya lekin aap jab chahay waapas lay saktay hai.Siwaaye 3 tohfo kay-

(1).Adlay –badlay may diya gaya tohfa –Baqaid sigah pada jayay e.g.ek shakhs nay doosray ko 5 laakh rupees ka ghar diya aur us nay Rs.5 ka pen diya badlay may magar yeh keh kar diya kay yeh mai uskay badlay my day rahaa hu. Ab aap ka aur uska dono ka tohfa laazim ho gaya hai.(Laazim-jismay waapasi ka haq nahi.) Yeh zaruri nahi kay dono tohfay baraabar ho.

(2) Aisa tohfa jo istemaal ho gaya ho. Phir aap usay waapis nahi maang saktay.

(3).Woh tohfa jo khooni rishtedaaro ko diya-yeh tofah laazim hai baap-beti,maa-beti ko tohfa day waapis lenay ka haq nahi,lekin sasooral waalay rishtedaaro ka tohfa laazim nahi .Shauhar chahay to biwi ko diya hua tohfa waapas lay sakta hai.Haq hai 10 saal baad bhi waapas lay sakta hai. And vice versa.

#3.Suloh:{compromise}

Yeh Islam may mumkin hai kay koi baap apni beti ko jahez day suloh kartay huay-Yeh jahez mai tumhay day raha hu shart yeh hai kay meray marnay par meri meeras may say tum apna hissa chod do, aur beti maan jaaye to yeh hai suloh.Yeh Islam may jaaez aur agar aapas may tay ho jaaye to no gunaah. Baap apni beti ko suloh kay taur par jahaez day day to waapas nahi lay sakta.

-Yeh suloh ladka/ladki kay liyay istemaal ho sakta hai.

-Agar in cheezo may say –Hiba, Suloh,maalik koyi 1 bhi ek tarika hai to beti maalik hai. Aur ek bhi tarika nahi tab phir sirf istemaal kay liye diya hai,beti maalik nahi,baap maalik hai.


JAHEZ MAY KHUMS KAY EHKAAM Jahez may do maalik hotay hai:

#1.Shaadi say pehlay baap/bhai aur #2.Shaadi kay baad beti.

Galatfehmi: Kisi maal may say ek martaba khums nikal jaaye tab phir uspar doobara khums wajib nahi hota.Yeh masala sahi hai jab tak yeh maal usi aadmi ki milkiyat may rahay jisnay uska khums diya hai.
Khums maaf honay ki shartay (jahez may): Shaadi say pehlaybaap /gharwaalay jo jahez jama kartay hai who maaf in 3 sharto kay saath hai aur ehtiyat yeh 4th shart ki paabandi ki jayay.

#1.Yeh us ilaaqay may ho jaha jahez dena jaha par aam taur par riwaj/zaruri samjha jaata ho.

#2.Jahez apni haisiyat say badhkar na jama kiya jayay.

#3.Jahez may saaman par khums maaf hai, agar jahez may paisa jama kiya jaaye tab us paisay par khums dena padega.

#4.Imam Khomeini ka fatwa aur A.Khoei ki ehtiyaat –Yeh ho kay baap ki itni haisiyat ho kay shadi kay waqt jahez khareed sakta hai {i.e. shaadi kay ek saal kay andar} Agar aisa hai tab Imam Khomeini kay nazdeek khums dena padega.

-Yeh saari sahoolatay ladki kay baap ko hai ladkay kay baap ko nahi.

-Agar jahez kay liye koyi saamaan jama kiya usko replace karna ya badal dena ya istemaal karay, ek din kay baad bhi uski jagah doosri cheez lay aaye to pehlay khums nikalo kyuki jo sahoolat thi uska istemaal kar diya.
Shaadi tak koyi khums nahi. Ek saal tak beti jis tarah chaahay jahez ka istemal karay, albatta fuzul kharchi na honay paaye. Ek saal kay baad beti yeh na sochay kay meray baap ko khums wajib tha/na tha ab beti kay upar jahez ka khums wajib ho sakta hai.

A Khoei -Is jahez may jo bhi gair istemaal shuda saaman hai ek saal kay baad us par khums wajib hai, nahi degi to gunaahgaar hai.

Imam Khomeini-Ek saal kay baad yeh dekha jaayega kay baap nay jahez kis tarah beti ko diya –

(1).Agar batauray hiba/touhfa diya hai beti ko (to kyuki Imam Khomeini kay nazdeek tohfay par khums nahi, chaahay woh tohfa saal-o-saal aap kay paas rahay bina istemaal kay)jo saamaan istemaal may nahi aya uspar koyi khums nahi agar ladki Imam Khomeini ki muqallida hai.

(2).Agar baap nay jahez batauray Suloh diya hai /becha hai is soorat may beti ko ek saal kay baad khums dena hai.
SHAADI KAY TOHFAY: Agar ek saal ho gaya hai tab jo touhfay saaadi kay waqt milay aur istemaal nahi huay tab A.Khoei-Khums dena hai. Imam Khomeini-Tohfay par khums nahi.

MASALA:Khums say bacchnay kay liyay shaadi ki saalgirah kay aanay say 1 din pehlay agar yeh touhfa hum kisi ko day day uska khums musallan dena hoga-A.Khoei Yes Imam Khomeini-No.

-Baaz tohfay sirf ladki kay hai, baaz sirf ladkay hai aur baaz tohfay combined hotay hai,tab phir agar ladki Imam Khomeini ki muqallida ho aur ladka A.Khoei ka muqallid ho to e.g tohfa Rs.100 ka hai ek saal guzar gaya yeh dono apnay marajay ko follow karengay aur ladki kay hissay ka koyi khums nahi aur ladkay kay tohfay say Rs.50 ka hissa hai to woh khums nikaalega Rs.10.

-Yeh bhi ho sakta hai kay jo istemaal na ho to ladka apna hissa ladki ko day day aur khums say bach jaaye kyui ladki Imam Khomeini ki muqallida hai.

-Agar beti Imam Khomeini ki muqallida hai aur baap paisay jama karna chaah raha hai, to baap yeh kar sakta hai kay yeh paisay beti ko tohfa day day aur beti ko samjha day kay in paisay say uska jahez aayayga.

-Agar koi baap aisa ho kay jahez kay masalay may shariat ki paabandi na karay masalan saamaan jama na karay aur paisay jama karay aur khums bhi na day/apni haisiyat say ziyaada jahez jama karay aur phir apni beti ko jahez muntaqil kar day-A Khoei-Agar koi aisa aadmi aapko cheez day raha hai jiskay baaray may pata hai kay khums nahi diya hai tab phir bhi aap par koi zimmedaari nahi.



Imam Khomeini-Agar aap ko maaloom hai tab lenay waalay par zimmaydaari hai ,hence agar baap nay aisa kiya tab A.Khoei kay muqallid par koi zimmaydaari nahi aur Imam Khomeini ki muqallid par zimmaydaari hai aur uskay upar khums nikaalna hoga.




Yüklə 29,63 Kb.

Dostları ilə paylaş:




Verilənlər bazası müəlliflik hüququ ilə müdafiə olunur ©genderi.org 2024
rəhbərliyinə müraciət

    Ana səhifə